Wo chand ki roshni me akele baithna mera;
Wo thandi hawawon ka chu jana;
Ek ehsas man me jaga jana;
Akele nahi hum chand bhi to akela hai;
Par lakho taron ne usko ghera hai;
Hum to tanaha hi hai bas usko dekhte hai;
Wo chand ka badali me chup jana;
Jaise mujhko tanaha chod jana;
Dono karte baten phir bhi tanaha lagana;
Phir tanaha beithe ye sochna;
Tum aaoge meri zindagi me;
Dono beithege is chand ki roshni me;
Kuch palon me hi kat jati hain raten;
Sapne bunte-bunte ho jati hain subahen;
Phir akele rah jate hain bas umeed banaye;
Phir aayega wo chand phir dikhayega sapne;
Par apne jate hi sapno ko bhi saath le jaye;
Wo hawaon ka jhoka jaise kah rahe hain;
Hum hai tere saath tu kyo iske saath rahe;
Unke aane se lagta hai mano sandesha laye;
Ye bhi khali aaye bas ehsas man me jagaye;
Chand hawaye koi na saath deta zindagi me;
Sapne sabhi dikhate hai par koi na inko kare pure;
Tum agar hote hamare pas to ye rahte na adhure;
Tumhare bare me hi to ye mera man hardam soche;
Tum kya jano is chand ne bhi kitne dhokhe diye;
Kitni hi baar tumhari tarah humko tanaha chode;
Wo chand……………………………………………………………..
No comments:
Post a Comment